Shake effect whatsapp status kaise banaye kinemaster

0

 Shake effect whatsapp status kaise banaye kinemaster 












Hello guys finally fir se aap sabhi ke liye new trending whatsapp status video ka tutorial le kar ke aa gaya hu ye status abhi kuch dino se kafi jyada trend me chal raha hai . Agar aap bhi photo se is type ka status create karna chahte hai to video ka last tak dekhna . Video me kuch hi steps bataya gaya hai agar aap sabhi ye step follow karte hai to kuch hi minute me aap bhi is tarah ka status bana sakte hai .






Guys aisa status social media me kafi jyada viral hota hai bahot se log apna status bana kar social media me share karte hai aur bahot jyada likes gain karte hai . Agar aap ka bhi social media account hai to aap bhi aisa status bana kar share kar sakte hai . Aapke video ka viral hone ka chance bahot jyada badh jayega .





Music link 👇👇








Agar guys aap bhi apne photo ka aisa status banane me interested hai to aap hamare channel ko subscribe kar sakte hai kyoki hamare channel pe aapko unique status dekhne ko milta rahta hai . Aapko aur kisi song pe status chahiye to aap comment section me bata sakte hai ya to fir Instagram me DM bhi kar sakte hai .




Guys agar music download nhi hoga to ye video 👇 download kar Audio extract kar lena 👇👇






Video banane ke liye to guys sabse pahle aapko sabhi material download kar lena jo ki video banane me use hoga vo sabhi ka link aapko is page pe hi mil jayega . Jo bhi light effect , music aur other materials hai sabhi kuch aapko hamare is website me mil jayega . Download button pe click karna fir aap download kar sakte hai aur apne video me use kar sakte hai .







Video banane ke liye guys aapko kinemaster app download karna padega kyoki kinemaster se hi ye status aap edit kar sakte hai . Agar aapke pas kinemaster nhi hai to link aapko video ke description me mil jayega waha se aap download kar sakte hai .





Black screen light effect 👇👇





Status video banane ke liye guys aapko lagbhag 20 photo ki jarurat padegi . Itne se aap apna bahot hi amazing status bana sakte hai . So guys status banane ke liye sabse pahle aapko kinemaster download kar ke open karna hai fir plug pe click kar full screen wala jo ratio hota hia vo aapko select kar lena hai .




Iske baad aapko settings wale option me jana hai aur editing me ja kar fill screen ke option me click kar ok kar lena hai . Ab aapko apna jo photo hai media se select karna hai aur sabhi photo lene ke baad ok kar lena hai . Photo lene ke baad guys aapko music le lena hai .

Music lene ke liye audio ke option me jana hai aur waha se music select kar lena hai download link aapko yaha pe mil jayega .






Ab guys aapko photo ko zoom kar lena hai aur jaha par beat aata hai waha se aapko photo cut kar lena hai jaisa ki video me bataya gaya hai sabhi photos ko aapko beat ke sath acche se adjust karna hai aur fir aapko clip graphic add kar lena hai . Clip graphic download kaise karna hai link aapko video ke description me milega vi video dekh kar aapko easily graphic download kar sakte hai . Aur sabhi photo me ek ek kar clips graphic laga lena hai jo aap download kiye rahoge .





Full screen Border 👇👇







Iske baad layer wale option me jana waha se media ka option milta hai waha pe click karna hai aur ek Black screen light effect video select kar lena hai vo bhi download kar lena hai . Aike baad same steps follow kar aapko ek border le lena hai aur blending me ja kar screen kar lena hai .

Ye karne ke baad aapka status ban kar ready ho jayega aapko isko export kar lena hai .







Hope video aapko pasand aaya hoga .





Post a Comment

0 Comments

If you have any doubt . Please let me know

Post a Comment (0)

#buttons=(Accept !) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top