New whatsapp status editing || capcut
Hey guya kaise ho aap sabhi , guys finally kafi dino baad new status ka tutorial aa gaya hai aaj ka status guys sabhi status se unique hai aur aaj ka status kinemaster edit nhi hoga . Iske liye aapko capcut app download karna padega .
Capcut se aaj ka video hum edit karne wale hai . Guys aaj ka status bahot hi easy hone wala hai kinemaster me editing thoda hard hota tha but isme aap bahot hi easy tarike se aur bahot hi kam time me apna status edit kar sakte hai .
Capcut aap ka link aapko is page pe hi mil jayega aur telegram channel pe bhi mil jayega link se aap capcut download kar sakte hai . Telegram channel ka link aapko menu pe mil jayega waha se direct aap hamara telegram channel join kar sakte hai .
Status editing ke liye guys koi bhi material use nhi hua hai aapko sirf music download karna padega jiska link aapko is page pe hi mil jayega . Download button pe click karke aap music bhi download kar sakte hai . Aur guys is app me edit karte time aapko Animation download karna nhi padega . Kinemaster me bahot se logo ko effect download karne me problem aata tha but isme aapko koi bhi problem nhi aayega .
Music video link 👇👇
Guys is apa me edit karte time kabhi kabhi kuch problem show hota hai jiske liye aapko vpn download karna padega . Play Store pe aapko bahot se vpn mil jate hai aap koi sa bhi vpn download kar sakte hai . download karne ke baad other koi bhi country se connect kar lena hai aur aap use karna hai isse aapko koibhi problem nhi aayega .
Mai iske liye Touch Vpn use krta hu ye bhi aap play store se easy search kar download kar sakte hai .
Agar guys aapko kinemaster assets store open nhi hota to aap vpn connect kar usko bhi open kar sakte hai .
Status banane ke liye guys aapko just kuch hi Steps follow karna hai . Isme aapko apna photo lena hai usko pure screen me adjust karna hai sabhi photos ko aur isme aapko music add kar lena hai . Music lene ke liye mai aapko ek video dunga video download kar uska jo audio hai usko aapko extract kar lena hai waha pe aapko option jata hai .
Capcut app link 👇👇
Music lene ke baad aapko usko zoom kar lena hai aur jaha par beat aata hai waha tak ke aapko ek ek photo rakhte jana hai . Sabhi photo ko aapko beat ke sath adjust kar lena hai . Iske baad aapko Animation add karna hai sabhi photos me iske liye aapko photo pe click karna hai aur aapko Animation ka option milega .
Animation me jane ke baad combo ka option milega right side waha jana hai aur pandulum 1 aur pandulum 2 ka option milega ek ek kar dono Animation apko add karte Jana hai . Ye aapko sabhi photo me aaply kar lena hai . Ye karne ke baad aapka status ready ho jayega .
Iske baad isko aapko export kar lena hai .uper right side aapko option milega waha jana hai aur resolution aur frame rate sect kar export par click karna hai isse aapka status aake gallery me save ho jayega .
Hope video aapko pasand aaya hoga .
If you have any doubt . Please let me know