Attitude whatsapp status kaise banaye
Hey guys , kaise ho aap sabhi hope karta hu aap sabhi bahot acche honge . Guys finally aap sabhi ke liye fir se new attitude whatsapp status ka tutorial le ke aa gaya hu . Hope ye video aap sabhi ko pasand aayega .
Attitude status ke liye daily mere pas kafi sare DM aate hai and comments bhi aata hai . So guys ye status sabhi status se kuch alag hone wala hai . Is video ka music bahot hi alag hai aur yaha jo starting me Badshah likha hota hai vo bahot hi jyada amazing lagta hai . Text ke piche se ek light effect nikalta hai jo sabse ht kar lagta hai and ye perfect music ke beat se hota hai .
Aur guys is video ko banane ke liye jo bhi material use kiya gaya hai vo sabhi ka link aapko is page pe hi milega . Agar aap bhi is type ka status banana chahte hai to material sabse pahle aapko download karna hai .
Is channel pe guys aapko daily unique status dekhne ko milega aur milte hi rahega so channel pe naye ho to subscribe kar lena . Isse jab bhi mai new video upload karunga vo sabhi ka notification aapko mil jayega . Aur video acchi lage to like aur comment bhi kar lena .
Agar guys aapko material download karne me koi bhi problem aa raha hai to aap hamare telegram channel ko join kar sakte hai waha pe bhi hamare 25k members hai .
Telegram join karne ke liye aapko video ke description me jana hai aur waha link aapko mil jayega link pe click kar join karena hai but usse pahle play store se apko telegram app download kar lena hai.
Aur telegram channel ka link aapko is page ke menu me bhi mil jayega waha se bhi join ho sakte hai . Aur kuch bhi problem aa raha ho kuch puchna ho to instagram pe DM kar sakte hai waha mai aapko solutions jald hi de dunga .
So guys is type ka status banane ke liye aapko 8 se 10 photo ki jaroorat padegi . Agar aapke pas itne photo hai to aap easily apna status bana sakte hai . Aur agar aapke kinemaster nhi hai to vo bhi download kar lena hai link aapko video ke description me mil jayega .
Guys is video ko banane ke liye aapko kuch clip graphic download karna hai vo clip graphic aapko kinemaster me nahi milega iske liye aapko alag se video dekh kar download karna hai , video ka link aapko video ke description me mil jayega ' clip graphic kaise download kare ' ye video dekh kar aap kuch hi minute me graphic apne kinemaster me add kar sakte hai .
Is video me jo clip graphic photo me use hua hai vaise aapko bhi kar lena hai aur agar aap alag karna chahte hai to alag bhi try kar sakte hai . Clip graphic lagane se pahle aapko photo ka length fix kar lena hai . Photo ka length kitna rakhna hai aur kaise rakhna hai vo video me aapko bataya gaya hai same step aapko follow kar lena hai .
Photo ka colour bhi aap aap adjust kar sakte hai iske liye aapko option kinemaster me hi mil jata hai .
Agar aap apne video me koi filter , effect kuch bhi karna chahte hai to use kar sakte hai isse aapka video dekhne me aur bhi accha lagega . Bahot se filter aur effect aapko kinemaster me hi mil jate hai vo sabhi ka use aap kar sakte hai .
.
If you have any doubt . Please let me know