Material link niche hai 👇👇
Hey guys , finally kafi dino baad aap sabhi ke liye new whatsapp status le kar ke aa gaya hu . Aaj ka status Attitude & badboy status kaise banaye bahot hi unique status hone wala hai .
About this video :
Guys is video me maine bataya hai ki aap New attitude aur badboy fast Shake effect whatsapp status video kaise bana sakte hai . Fast photo change ke liye kuch bhaiyo ka DM aaya tha so funny guys Status aa gaya hai . Hope ye video aap sabhi ko pasand aayega .
Aisa status banane ke liye agar aapko bahot se photo ki jaroorat padegi agar aapke pas jyada photo nhi hai to bhi aap ye status bana sakte hai . Agar aapke pas 30 photo hai fir bhi aapka status bahot hi unique lagega . Lekin agar aapko itna photo bhi nhi hai to bhi koi baat nhi aap easily ye status create kar sakte hai . Iske liye aapko ek photo ko hi 3 se 4 baar lena hoga . Photo fast chang hoga to koi bhi frk nhi padega .
Is video ko edit karne ke liye koi bahot jyada material ka use nhi hua hai isme sirf music aur ek full screen Border hi use hua hai . Ye dono aapko download kar lena hai . Isko use kar aap apna status bana sakte hai .
Material 1 :
Music is video me hai 👇👇
Music aur full screen Border download karne ke liye aapko is page ko last tak scroll karna hai is page me aapko material ka download button mil jayega . Material download kar aap apne status me use kar sakte hai .
Attitude status kaise banaye :
Status banane ke liye aapko video ko pura samajhna padega . Isme sirf aapko ye notice karna hai ki photo la length kitna rakhna hai . To aage batata hu guys kaise aapko status banana hai .
Step 1 :
Sabas pahle app open karne ke baad full screen ka ratio select kar lena hai iske baad media se black background le lena hai . Background ka length badha lena hai jitna video bataya gaya hai . Iske baad laye se media me jana hai aur ek photo select kar lena hai jiska status aap banana chahte hai . Ab photo ko zoom out kar key wale option se adjust kar lena hai .
Step 2 :
Iske baad setting me jana hai aur editing me jakar fill screen karna hai aur Default duration of a photo clip ko pura zero kar lena hai . Ab media ke option me jana hai aur 10 photo select kar lena hai iske baad fir se settings me jana hai aur Default duration of a photo clip ko 1 second kar lena hai . Fir media me jana hai aur 2 photo fir se select kar lena hai . Photo me ab clip graphic add kar lena hai jo video me bataya gaya hai .
Clip graphic add karne ke liye ek aur video dekhna hoga jiska link description me mil jayega . Clip graphic kaise download kare ye video dekh kar aap clip graphic add kar sakte hai .
Material 2 :
Full screen Border 👇👇
Step 3 :
2 photo lene ke baad fir se settings me jana hai aur Default duration of a photo clip ko zero kar lena hai ab media se 20 photo select kar lena hai . Fir se settings me jana hai aur Default duration of a photo clip ko 1 second rakh lena hai aur fir se 2 photo le lena hai aur dono photo me clip graphic laga lena hai .
Same step aapko follow karte Jana hai aapka status ban jayega .
If you have any doubt . Please let me know