New lyrics whatsapp status video editing | whatsapp status kaise banaye

0

 New lyrics whatsapp status video editing | whatsapp status kaise banaye 













So guys kaise ho aap sabhi hope karta hu ki aap sabhi badhiya honge . Aap sabhi ke liye fir se new kamaal ka whatsapp status ka tutorial le ke aa gya hu . Aaj ka status bahot hi jyada amazing hone wala hai .




Ye status guys baki ke status se kuch alag hai .

Isme guys jo transition effects photo me use hua hai wah status ko bahot accha look deta hai and isme jo lyrics laga hai wah bhi bahot hi kamaal ka hai . Agar dosto aap is lyrics ke jagah koi dusre song ka lyrics use karna chahte ho to aap YouTube se search kar download kar sakte hai aur apne video me use kar sakte hai .




Is video ko bhi baki video ki tarah kinemaster app se edit karenge . Agar aapke pas app nhi hai to link video ke description me mil jayega aap link pe click karke kinemaster download kar sakte hai . Jo ki free version hai .





Agar aapko video edit karte samay kuch problem aata hai to aap mujhe instagram me DM kar sakte hai . Waha mai aapke problem ka solution jald hi le karke aaunga .





Is video ko edit karne ke liye Green screen lyrics , Boder , Red png , Blue png and jo other material use hua hai sabhi ka link aapko isi page me mil jayega . Uper se pura niche tak is page ko scroll karne par aapko sabhi material ka name aur uske niche download button mil jayega button pe click karke aap material download kar sakte hai .





Material 1 : 


Red png 👇👇👇









Status kaise banaye : 


Is status ko bahot easy steps me aapko bataya gaya hai . Agar aap video ko dhayan se samajh kar dekhte hai to aapko video edit karte samay koi bhi problem nhi aayega .









Step 1 : 


Sabse pahle kinemaster open karna hai jaise ki video me bataya gaya hai . Open karne ke baad plus ke option me click karke full screen wala ratio 9:16 ka ratio select kar lena hai .






Material 2 : 


Blue png 👇👇👇










Step 2 : 


Fir media ke option me click karke aapko apne sabhi photo ko select kar lena hai jiska aap status video banana chahte ho .




Select karne ke full screen me adjust kar lena hai . Ab sabhi photo ke beech me plus ka icon milta waha pe click karke transition effect laga lena hai . Transition effects download karne ke liye aapko waha get more ka option milta hai . Get more se data on karke aapko jo effect accha lagta hai vo download kar lena hai .




Download karne ke baad sabhi photo me ek ek kar effect laga lena hai . Sabhi photo me aap alag alag effect ka use kar sakte hai jisse status dekhne me accha lage . 



Transition effects lagane ke baad video ko export kar lena hai jaisa ki video me bataya gaya hai . Share ke option me click karke resolution select karna hai aur waha se export kar lena hai .






Material 3 : 


Green screen lyrics 👇👇👇












Step 2 : 


Export karne ke baad aapko back aana hai aur video me blur effect ad kar lena hai . Layer me click karne ke baad effect ke option me jana hai waha se blur effect le kar ke laga lena hai .



Ab Wahi video lena jo aapne export kiya tha so video lene ke liye layer ke option me jana hai waha se media me jakar video select kar lena hai fir jaisa video me bataya gaya hai rotate karke laga lena hai . Video lagane ke baad jo bhi effect , lyrics , png lena hai layer me se media me jakar sabhi ko ek ek kar select kar lena hai aur ad karne jana hai .






Material 4 : 


Boder 👇👇👇








Is tarah se aapka status bhi ban kar ready ho jayega . Fir gallery me save karne ke liye share ke option me jana hai waha se resolution select kar export kar lena hai . Kuch hi second me aapka video gallery me save ho jayega .










Post a Comment

0 Comments

If you have any doubt . Please let me know

Post a Comment (0)

#buttons=(Accept !) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top