Badboy whatsapp status kaise banaye kinemaster
मटेरियल लिंक नीचे है 👇👇👇
Aaj ka status Badboy whatsapp status kaise banaye ye sabse unique status hone wala hai. Is status me jo green screen template use kiya gaya hai vo hi is status ko unique banata hai . Ye template kinemaster se maine khud banaya hai . Agar aisa green screen wala status aapko aur bhi chahiye to aap niche comment me bata sakte hai . Mai aapke liye aisa hi green screen template late rahunga .
Ye status sabhi status se alag hai isme jo photo hai usme 2 colour hai black and white jo disto bahot hi excellent banata hai status ko . Photo ko white karne ke liye iska saturation down karna padta hai jo aage is video me aapko pata chal jayega .
Badboy status ke liye mujhe bahot se logo ne massage kiya tha finally badboy pe sabse unique status aa gaya hai . Hope karta hu ki ye status editing ka tutorial aap sabhi ko badhiya lagega . Video acchi lage to like karna mat bhulna aur comment me btana ki status kaisi lagi .
Is channel pe aapko hamesha unique status hi dekhne ko milta hai . Agar aap apne photo ka status video banane me interested hai to is channel ko subscribe jaroor karna .
Material 1 :
Green screen video 👇👇
Video me jo bhi Green screen template , light effect use hua hai sabhi kuch aapko isi page me mil jayega . Status banane ke liye aapko material sabse pahle download karna padega . Agar aap download nhi kar pa rhe hai ya kuch bhi problem aa rha hai to aap hamare telegram channel ko join kar lena kyoki waha pe aapko sabhi material mil jayega .
Badboy whatsapp status kaise banaye :
Ye status Badboy whatsapp status kaise banaye ko banane ke liye jis app ka use hua uska link video ke description me hai . Sabse pahle vo aapko download kar lena hai .
Material 2 :
Light effect 👇👇👇
Step 1 :
App open karne ke baad full screen wala 9:16 ka ratio select kar lena hai fir media me aakar apna photo le lena hai jiska status aap banana chahte hai . Fir photo ko pure screen me adjust kar lena hai . Iske baad aapko iska saturation kam kar lena hai ye karne ke baad photo ko capture kar lena hai and saturation fir se pahle jaisa kar lena hai . Yaad rahe ab aapko photo ka hilana nahi hai .
Step 2 :
Ab layer se media me jana hai aur jo photo capture kiya tha vo aapko le lena hai . Green screen template lena hai aur jaise video me bataya gaya hai same step follow kar lena hai . Light effect bhi add kar lena hai . Ye 2 se 3 step follow kar ke aap apna status create kar sakte hai .
Material 3 :
Border 👇👇👇
Hope ye video aap sabhi ko pasand aayega .
If you have any doubt . Please let me know