Alight motion video editing

0

 Alight motion video editing





Hello Everyone ,

Kaise ho aap sabhi I hope aap log bahot hi acche honge . Guys aap sabhi ke liye ek baar fir se new whatsapp status video ka editing tutorial le kar aa gaya hu . Aaj ka jo status hai vo bahot hi jyada amazing hone wala hai aur sabse unique editing bhi hone wala hai . Jo ki aaj ka editing kisi song par nahi balki ek ringtone par hone wala hai . Ye jo ringtone hai vo bahut hi popular aur bahut hi amazing hone hai , aapne kabhi na kabhi ye ringtone jarur se suna hoga . So I hope guys aaj ka bhi video aap sabhi bahot jyada pasand aayega . Agar aapko video acchi lagti hai to channel ko subscribe jarur kar lena kyoki mai isi tarah ka unique content aap sabhi ke liye time to time late rahta hu . 






Jaise ko aap sabhi ko pata hoga ki social media me is time aisa status bahot hi jyada Trending me chal raha hai . Sabse jyada Instagram ke reels par aise status bahot jyada trending me chalte rahta hai jisme millions of view aate hai . Bahot se creator aisa status bana kar apne social media me upload karte hai lakho me followers gain kar rahe hai . To agar aap bhi isme intrested hai to ye video aapke liye hone wala hai . Aap bhi ye video dekh kar apne photo se whatsapp status editing kar sakte hai aur social media me upload kar likes aur followers gain kar sakte hai . 








Agar aap is tarah ka status editing karna chahte hai to aapko ek application ki jarurat padegi jiska name hai Alight motion . Ye application aap me se kafi logo ke pas hoga bhi but jinke pas naho hai unko download kar lena hai . Alight motion download karne ke liye aapko mere website ke home me jana hai waha se scroll karna hai niche ki tarah aapko Alight motion ka jo download page hai vo dekhne ko mil jayega vo wale page se aap download kar sakte hai . Agar aap mere page se download karte ho to aapko usme koi bhi problem nhi aayega . Aap bina kisi problem ke ye application use kar sakte hai jo ki ek latest version hai . 







Jab aap application download kar loge iske baad aapko status editing karne ke liye kuch material ki jarurat padegi ( Ringtone , Column img , light effect ) to ye sabhi material aapko jarur se download kar lena hai iske bina aap status editing nahi kar paoge aur isse bhi important Alight motion me aapko bookmark Preset import karna hai . So material download karne ke liye aur preset import karne ke liye aapko is page me rahna hai aur niche ki taraf scroll karna hai . Niche me aapko ek Go to download page ka option milega waha aapko click karna hai fir aapko kuch second wait karna hai iske baad click here ka option mil jayega waha click karte hi ek new page open hoga waha aapko material aur preset ka download option mil jayega . Download button pe click kar aap material aur preset download kar sakte hai . 





Preset import karne me baad aapko alight motion open karna hai . Preset project wale option me import ho jata hai vo aapko open karna hai waha pe maine bookmark add kar ke rakha hua hai . Yaha pe ab aapko apne jo photo ko add karna hai . Isse pahle apne sabhi photo ka size 1:1 ratio me convert kar lena hai . Iske baad aapko bookmark Preset open karma hai aur yaha jo column png add kar lena hai . Pnd add karne ke baad aapko apne photo ko us png me ek ek kar step by step add kar lena hai . Ye maine aapko video me acchi tarah se samajha rakha hai .







Photo jab pura last tak add ho jayega iske baad aapko column png ko sabse top pe le kar aa jana hai iske liye png pe long press karna hai fir uper ki or le kar aa jana hai . Iske baad maine ek vignette ka link de rakha hai agar aap use karna chahte hai to download kar lena hai . Download karne ke baad media se vignette Png select karna hai aur screen me acche se add kar lena hai . Isko aapko niche me add karna hota hai so jaisa video me bataya gaya hai same tarike se aapko vignette laga lena hai .





Iske baad aapko apne status ko attractive banane ke liye ak black screen video laga lena hai . Ye black screen bahot hi amazing look deta hai . To ye bhi aapko website se hi download kar lena hai . Download karne ke baad usko bhi media me jakar select kar lena hai . Isko blending wale option se lighten me jana hai waha se scree kar lena hai isse jo black screen hai vo Remove ho jata hai . Isko bhi aapko acche se screen me laga lena hai . Jab ye ho jayega iske baad aapko status video ban kar ready ho jayega . 









Click here


Ye ho jane ke baad video export karme ke liye share wale option me tap karna hai aur waha se export pe click kar dena hai aapka video gallery me save ho jayega . I hope ye video aapko pasand aaya hoga . Guys video acchi lagi ho to like jarur kar lena aur channel ko bhi subscribe kar lena agar aap isi tarah ke editing tutorial sikhna chahte hai . 


So please like , comment share and subscribe . 






Post a Comment

0 Comments

If you have any doubt . Please let me know

Post a Comment (0)

#buttons=(Accept !) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top